aaj bas, yahin pe, iss jagah...

Here is one of nice poem by my best friend Anurag 😃

aaj bas, yahin pe, iss jagah…

ye peeli si roshni, hai ye meri hamsafar,
baithte hain hum yahaan, saare jahaan ko chod kar,
aaj bas, yahin pe, iss jagah…

bachpan tha beeta khushion ke bich,
pyaar ke saaye mein main bada hua,
aaj bas, yahin pe, iss jagah…

hote the hum bhi bade manchale,
humse bada koi kahaan hua,
suna hai iss sheher mein ab, humse bada koi seher utha,
aaj bas, yahin pe, iss jagah…

the hamare bhi chahne waale bahut,
naa jaane unhe kya hua…
kuch dost bhi the kahin…unhe bhi bada gumaan hua..
aaj bas, yahin pe, iss jagah…

iss sheher main bichde kuch dost mere,
yahin pe mere pyaar ka bhi dum ghuta…
aaj bas, yahin pe, iss jagah…

theein hamaari umeedein badi,
ye karenge.. wo banenge..
na jaane un tasveeron ko bhi kya hua?
aaj bas, yahin pe, iss jagah…

jaane kis mod par thehri hai ye zindagi,
ek pal hai kahin jaam, toh ek pal hai bas dhuaan utha…
aaj bas, yahin pe, iss jagah…

Built with Hugo
Theme Stack designed by Jimmy